SHIRQ OR BID'AT(GARULLAH SE MADAD)

on Sunday, July 15, 2012

Posted Image







SHiRK (55 sms) A complete Series


SHiRK
01
#Aqida e Touheed#
ALLAH Ek He
Uska Koi Sharik Nhi
Na Zaat Me
Na Sifaat Me
Na Af'aal Me
Na Ahkaam Me
Na Asmaa Me
Wo Wajibul Wujood He
(Uska Wajud Zaruri He)
Hamesha Se Hy
Or Hamesha Rahe Ga
{Bahaar e Shariat V1 P1}
Qur'an Ki
Sura e Ikhlas
Sura e An'aam Sy
Iska Istidlaal Hy
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
@02
Q.Shirk ki Tareef Karen?
A. Ek Se Zyada Khuda Man'na
Yani ALLAH Ki Zaat, Sifat Ya Af'aal Me Kisi Ko Wesa Hi Samaj Kar Sharik Karna.
Ya Kisi Ghairullah Ko Mustahiq e Ibadat W Paristish Jan'na
Ahlesunnat Ko Khumakhwa Mushrik Kehne Wale Is Tarif Ki Roshni Me Mushrik Saabit Krn
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
@03
Shirk Ki 3 Iqsaam
1> Shirk Fil-Ibadaat
Murad Ye Ke ALLAH K Elawa
Kisi or Ko Mustahiqq-e-Ibadat
Samjha Jaye
2> Shirk Fiz-Zaat
Murad Ye Ke Kisi Ko
ALLAH Jesa Maan'na
Jesey Majoosi 2 Khudaaon
Ko Maanty The
3> Shirk Fis-Sifaat;
Ye Hy Ke Kisi Zaat Me
ALLAH Jesi Sifaat Maan'na
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
@04
Jis Tarah Din Ka Andaza
Raat Ke Baghair Nhi
Lagaya Jaa Sakta
Isi Tarah
Agr Kisi Ke Saamny
Batil Ka Tasawwur Na Ho
To Wo HAQ Ki Laz'zaton Sy Aashna Nhi Ho Sakta
To Jo Na Samjhe K
SHiRK Kisey Kehty Hn,
Wo Touheed Ko Nhi Jan Skta
Ayinda Chand Misalon
Sy Iski Mazeed Wazahat Hogi
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
@05
"ILM"
Insaniyat ka zaiwar he
Lekin
"ILM"To khuda ki sift he
To kya ye
"SHIRK"
hoga?
Iska jwab ye he k Jo"ILM"
ALLAH ta'al ka he wo bande ka nhi,
ALLAH ta'ala k
"ILM"
apna he,
Hmara
"ILM"
usi ka ata krda he.
Uluhiyat or Abdiyat k drmyan yehi "FARQ" he.
www.fb.com/sunni.yalgaar
IKHTILAAF KYUN?


SHiRK
@06
Isi trah ALLAH ta'ala
"SAMI O BASEER"
he.
Or frmata he k hmne insan ko
SAMI O BASEER yani sunne or daikhne wala bnaya.
To ALLAH ta'ala ki tmam sifaat be niaz o ghani hokar hn
Or bandon ki ye sifaat uske hajat mand or niaz mand hokar hn
Kyunke unhn ye sifaat "RAB" ne den or wo khud or uski sifaat "RAB" k qabze or qudrat me hn
ALLAH k hukm se ye bat bilkul wazeh hogai k
ULUHIYAT OR ABDIAT K DARMIYAN YEHI FARQ HE
PAGE ON FACEBOOK
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
07
ALLAH ta'ala frmata he!"Kon he jo SHAFA'AT kre baghar IZN E KHUDA WANDI k.
(PARA 3)Pta ye chala k baghair IZN k shafa'at ka aiteqad
"SHIRK"he.Or IZN k sath ain
"TOHEED"
he.Sabit hogya k jb ye aqeeda aaya k fulan shakhs ALLAH ta'ala k IZN k bagair koi hajat puri kr skt he to
"SHIRK" he.Or jb "IZN E ILAHI" ka aqeeda aaya to
"SHIRK" khatm.
Search page on facebook:
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
08
Jb hzrt esa alaihe slam ne qom k samne taleem e risalat paish ki to unse kaha!Or acha krta hn andhe or korhi ko or murde ko zinda krta hn ALLAH k hukm se.
(AAL E IMRAN 49)Ab daikhye shafa daina or murde ko zinda krna ye ALLAH ta'ala ka kam he.Is lehaz se to hzrt esa alaihe slam ne ALLAH ta'ala k kamo ka dawa kya,Laikin ab aage frmate hn"BE IZNILLAH"Yani me jo kuch krta hun ALLAH ta'ala k izn se krta hun.Wazeh hogya k yahan
"IZN E ILAHI"
Toheed or Shirk ka bunyadi nuqta he.Or mukhalfeen k lye 1 aasan jwab he
Search page on facebook:
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
09
Agr koi"OLIYA ALLAH"
ko"BE IZNILLAH"
hajat rwa kahe to shirk khtm
Lekin swal ye he k kya waqei ALLAH ta'ala ne unko IZN dya he?
Agr IZN dya he to iski kya daleel he?
Hm munkireen o munafiqeen ko dawat dete hn k wo aaen momineen ki traf k wo shirk se pak hn,
QK unke pas"BE IZNILLAH"
ka suboot he,
Or wo"OLIYA ALLAH"
ko
"BE IZNILLAH"
hajat rwa mante hn,
Hm mut'thi bhar munafiqeen o murtideen ko ye dikha daina chahte hn k ALLAH ta'ala ne"OLIYA ALLAH"
ko IZN dya heQK hmare aiteqad me na"SHIRK"
ka sha'iba he or na hi"KUFR"
ka
Search page on facebook:
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
@10
Bad Mazhab
Shirk Fis-Sifaat
Ka Galat Mafhum Paish Karke
Musalmano Ko Gumraah Karney Ki Koshish Karty Hen
Aaye!
Qur'an Sy
Aqaid e Islamiya
Jaanty Hen





SHiRK
@11
Shirk Fis Sifaat or Qur'an;
1> ALLAH Rauf or Raheem
(Baqarah 143)
Huzoor B Rauf or Raheem
(Touba 128)
2> Madadgaar Sirf ALLAH
(Muhammad 11)
Jibrael or Auliya B Madadgar
(Tehreem 4)
3>ALLAH Jaan Ko Mout Deta Hy
(Zumr 42)
Mout Deta Hy Mout Ka Farishta
(Sajda 11)
4>ALLAH Sunta Dekhta Hy
(Hajj 61)
Bande B Sunte Dekhty Hn
(Dahar 2)
5>Ilm-e-Gaib ALLAH Ke Paas
(Namal 65)
Rasoolon Ko B Ilm e Gaib He
(Jinn 26/27)
Next...
facebook:
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
@12
Shirk Fis Sifaat or Qur'an;
#2
6>ALLAH Azeez Hey
(Touba 40)
Rasool Azeez Hen
(Touba 128)
Q. Kya Qur'an Ne Rasool Ko ALLAH Ka Shareek Bana Dya?
A. Nahi KyunKe ALLAH Zaati
Tour Par
Rauf,
Raheem,
Azeez Hy
Jab Ke Rasool, ALLAH Ki Ataa Sey Rauf o Raheem Hn
Search facebook page:
IKHTILAAF KYUN?



SHiRK
@13
Q.Kya ALLAH Ke Elawa Kisi Ko
"Faryad Sun'ne Wala"
"Sab Kuch Deny Wala"
"Gareebon Ko Nawazny Wala"
"Mushkilen Hal Karny Wala"
"Khazany Bakhshny Wala"
Kehna SHIRK Hy?
A. Jee Nhi,
KyunKe
ALLAH Zaati Tour Par Sab
Kaam Karta Hy
Jabke
Makhlooq (Waliyon) Ko
ALLAH Ne Hi
Ghous,
Daata,
Gareeb Nawaz,
Mushkil Kusha,
Ganj Bakhsh
or Dastageer
Banaya Hy
Yahi Islam Ki Ta'leem
or Qur'an Sy Saabit Hy
Jesa Ke
Ibtidaa Me Aayaat Paish Ki Gayeen
IKHTILAAF KYUN?


SHiRK
@14
Meanings;
1>RAUF =Meharbaan
2>RAHEEM =Reham Karny Wala
3>Sami =Sunne Wala
4>Baseer =Dekhne Wala
Sub Kuch Parhney Ke Baad Zara Emaandari Se Sochen
Kya Ye Bi ALLAH ki Sifaat Nhe?
Magar Phir Isey Quran Ne Insan Ki Sifaat Bi Bataya
Pas Jahilo Ko Chahye K
ALLAH Ki Zaat Se Ye Aqida Rakhen K
Wo Apni Sifaat Ka Mazhar Apne Bando Ko Apne Fazal Se Banata Hy
Aur Jise Jitna Zyada Chahe Ata Kar Sakta Hy
Qur'an Parhen,
Jihalat Ka Andhera Door Karen



SHiRK
@15
Agar ALLAH
Madadgaar, Mout Dene Wala, Gaib Ka Janne Wala Hy
Aur
Qur'an Ke Mutabiq Iski Makhlooq Me Bhi Ye Sifaat Hen To Ye Shirk Nahi Hua
Kyunke
ALLAH Ki Sifaat Zaati
Jabke Makhlooq Ki Sifaat
Ataayi (Granted) Hen
Aur Jahan Zaati Aur Ataayi Ka Faraq Aajaye
Wahan SHiRK Ka Hukum Nahi
Lagta.



SHiRK
@16
Q.Hidayet Kon Deta He?
A.Hamara Emaan He K ALLAH Ki Marzi k Khilaf Nabi Hidayat Nhe Karte
Magar
ALLAH Ki Ataa Se Nabi Hidayet Karte Hen
"Aur Tum Aye Mehbub Hidayat Karte Ho Seedhe Raaste Ki"
(AlShura Ayat#52)
Rab Ne Huzoor Ko HAADI Bana Kar Bheja Aur HAADI Aapka Sifaati Name Bi He



SHiRK
@17
QUR'AN:
ALLAH Aur Us KE Rasool Dono Dene Wale (Daata) Hen
=AL-TOUBA>10/59
~Mere Aaqa Detey Hen~
~Jholi Sab Ki Bhartey Hen~



SHiRK
@18
QUR'AN:
ALLAH Bhi Wali Hai Aur Us Ka Rasool 0r Eman Waley Bhi
=AL-MAiDA>6/55
Shirk, Biddat Ki Ratt Lagane Waley Gour o Fikar Karen



SHiRK
@19
Ye To Ap Jante Hen Ke
Elm-e-Gaib ALLAH Ki Sifat He.
Q.
Agr Koi Qur'an Ki Roo Se RasooLon Ke Lye Bhi ELm e Gaib Ko Maane To Kya Ye Shirk Hoga?
A.Ji Nahi,
*AL-QURAN*
"Gaib Ka Jan'ne WaLa Apne Gaib Par Sirf Apne Pasandida RasooLon Hi Ko Aagah Frmata He, Har Kisi Ko ELM Nhe Deta"
(Sura e Jinn Ayat #26-27)
Bus Samajhne Ki Baat Ye He Ke ALLAH Ka Aalimul Gaib Hona Zaati Aur MustaQil He,
Jabke RasooLon Ko ALLAH ki Ataa se Haasil He.



SHiRK
@20
BeShak ALLAH Madadgaar He Musalmano Ka.
Q.Agar Hum GhairULLAH Ko Bhi Madadgaar Kahen To Kya Ye Shirk Hua?
A.
Nahi
AL-QURAN:
"BeShak ALLAH Inka Madadgaar Aur JibreeL Aur Naik Mominin Bi"
(Al-Tahreem Ayt#4)
Agar GhairULLAH Ki Madad Ka Yaqin Rakhna Shirk Hota
To Ye Aayt Kyun NaziL Hui?



SHiRK
@21
Shifa Dena Or Murdey Zinda Karna To ALLAH ki Sifaat Hen,
LeKin
Dusri Taraf to ESSA Alaihssalam Se Ke Mutalliq Qur'an Ye Sifaat Batla Raha He!
AL-QURAN
"Aur Me Accha Karta Hun Andhey Aur Korhi Ko,
Aur Murdey Zinda Karta Hun ALLAH Ke Hukum Se"
(Aal-E-Imran Ayat#49)
> Pas Isi Tarah ALLAH
Apni Ataa Sey
Apne MaqbooLeen Ko
Ghaib Ka ELm,
Tasarrufat,
Bando ki Imdad Wa
Haajat Rawa'ee
Wgera
Ataa Frmate He.



SHiRK
@22
"ALLAH Jise Chahy Betyan Ataa Frmaye Or Jisey Chahy Bete Dey"
(Al-SHURA Ayat#49)
Q. To Kya Hum Ksi MaQbooL
Ghair e KHUDA K Lye Aisa Aqeeda Nahi Rakh Saktey?
A.Rakh Sakte Hen
AL-QUR?N:
(JibreeL)
"Me Tere RABB Ka Bheja Hua Hun Taa Ke Me Tujhe Ek Suthra Beta Dun"
(MARYAM Ayat#19)



SHiRK
@23
"Tum Frmao Tumhe WAFAT Deta he Mout Ka Farishta Jo Tum Par Muqarrar He"
(SAJDAH Ayat#11)
Kesi AJEEB Baat He Ke Loug Is Aayet Par
To Sar-e-Kham Tasleem Karen
Par Is Aayat Ka Inkaar Karte Phiren?
Ke..
"ALLAH Aur Iska RASOOL Aur MOMIN Tumhare Madadgaar Hen"
(MAAEDA Ayat#55)
Aisa Kyun?



SHiRK
@24
"BeShak Izzat Sari ALLAH Ke Lye He"
(YOUNUS Ayat#65)
Q.
Agar Hum ALLAH Ke Pyaron Ko Bhi Izzat Wala Kahen To Kya Ye SHIRK Hoga?
A. Ji Nhe,
Kyunke Ye Bi QURAN Ka Irshad He
"Aur Izzat To ALLAH Aur Iske RasooL Aur Musalmano Hi K Lye He
Magar Munafiqon Ko Khabar Nhe"
(MUNAFIQOON Ayat#08)



SHiRK
@25
Hazrat Essaa Alaihissalam
Ka Elaan;
"Kon Mera Madadgar He ALLAH Ki Taraf"
(Aale Imran Ayat#52)
Q.
Essa Alaihissalam Ka Is Tarah Gairullah (Yani Hawariyo) Se Madad Mangna Shirk Kyu Nhi Hua?
A.
KyunKe;
"Beshak ALLAH Inka Madadgar Aur Jibreel o Naik Mominin Madadgar"
(Tehreem Ayat#04)



SHiRK
@26
"Farma Dijye, Mere Lye ALLAH Kaafi He"
(Touba Ayat#129)
Q.
To Kya Ye Kehna SHIRK Hoga?
Ke
"Mere Lye ALLAH o RasooL Kaafi Hen"
A.
Nahi Ji
Qur'an Me To Ye Bhi He;
"Aye NABI Aapko ALLAH Kaafi He Aur Ittiba Karne Waley Mominin"
(Anfaal Ayat#64)
Yaad Rahey!!
Aayat Ka Inkaar KUFUR He



SHiRK
@27
ALLAH Hi Hukum Deta Hey
Aur
ALLAH Hi FAISLA Karne Wala Hey
Lekin
Dusri Taraf Qur'an Me Ye Bhi Irshad Hua;
"Shohar Aur Biwi Ke Tanaz'ey (Jhagre) Ko Hal Karne Ke Lye Ek Faisla Karne Wala Biwi Ki Taraf Sey
Aur Ek Shohar Ki Taraf Sey Muqarrar Kya Jaye"
(Al-Nisaa Ayat#35)
Kya Samjhey?



SHiRK
@28
Q.Hum"Ya Rasoolallah Madad"
"Ya Ghous Al Madad" Kyun Kehte Hen?
ALLAH Ki Ataa Sey Anbiya, Auliya Bhi Fayda Puhncha Saktey Hen.
Qur'an Parhen;
Noor Paayen;
"Tumhara Madadgar Nahi Magar ALLAH Aur Uska Rasool (Sallal laho Alaihe Wasallam)"
[Al-Maida 55]
"ALLAH Aur Uskey Rasool Ney Apney Fazal Sey Ghani Kar Dya"
[Touba 74]
"Be Shak ALLAH Unka Madadgar Aur Jibreel Aur Naik Imaan Waley Aur Is Ke Baad Farishtay.."
[Tehreem 4]



SHiRK
@29
Siddiq e Akbar:
Sab Sy Zyada Sach Bolne Wala
Farooq e Azam:
Sab Sy Behtar Haq o Baatil Me Farq Karny Wala
Ali Akbar:
Sab Sy Zyada Buland
Ye Sab Bhi To Insano Ke Alqaab Hen
Baat Baat Par Shirk Ke Fatwe Lagany Walon Ki Nazar Me To Hazraate Abu Bakr o Umer Ke Name Lene Waly Bi Mushrik Hogaye



SHiRK
@30
Koi Musalman Kisi Banday Ko ALLAH Ki Misl, UsKi Manind
Ya UsKe Bagair Madadgar Nahi Samajhta
Aur ALLAH Ke Izan o Ataa Sy Hony Wali Madad Goya
ALLAH Hi Ki Madad Hy.
Kaainat Ka Koi Bhi Zarra
ALLAH Ke Hukum Ke Bina
Madad Nahi Kar Sakta
Khaliq Apny
Mehbubon Ki Dua w
Wasilay Ko Qubul Farmata hy.
Aur Aisa Krny My Wo Majbur Nahi Bulke
Jab Wo Kisi Ko Mehboob Banata Hy To Unhe Apni Sifat Ka Mazhar Bana Ke
Unki Baat Qubool Farmata Hy (Bukhari-Muslim)

SHiRK
@31
ALLAH Ka Naik Bando Ke Mutaliq Farman;
"Me Uske Kaan Hojata Hun Jis Se Wo Sunta He,
Uski Ankhen Hojata Hun Jis Se Wo Dekhta He"
(Bukhari V2 P#963)
Yaani
Jub ALLAH Ka Noor
Unke Kaan,
Unki Aankh
Hojata He To Wo
Door o Nazdeek Ki Pukar Sun Lete Hen,
Door Se Hi Mulahiza Karte Aur Mushkil Ko Asaan Karne Per Qaadir Hojate Hen
(Tafseer Kabir V7 P#436)
Magar Bandon Ki Ye Sifaat
Aarzi, Ataayi, Majazi,
Aur Haadis Hen
Ye Aqeeda Rakhny Me Kya Burayi He?



SHiRK
@32
Alhamdulillah
Hamary Da'wey Ki Daleel Par
Qur'an o Hadees Ki Roshni Me
Baat Ki Gayi
Ab SHIRK Ke Fatwey Lagany Walon Ka Haal Mulahiza Farmaiyye >>



SHiRK
@33
"Buhat Se Log Is Qur'an Se Gumraah Hotey Hen
Aur Buhat Se Log Is Se Hidayat Paate Hen"
(Al-Baqarah Ayat#26)
¥ Gumraahiyat ¥
Zamana e MOULA ALI
Me Ek GiROH Ne Qur'an Ki
Ek Aayat Ko Maana
Lekin Dusri Aayt Ka Inkaar Kya
Aur MOULA ALI Ko Mushrik Kaha
(Bukhari - Muslim)
Jese Aaj Kal Ke...



SHiRK
@34
Beshak Wo Jinko Tum ALLAH Ke Siwa POOJTE Ho,
Tumhari Tarah Bandey Hen,
To Inhe Pukaro Phir Wo Tumhe Jawab Den Agar Tum Sachche Ho"
(A'raaf Ayat#194)
Ye Aur Is Tarah Ki Kayi Ayaat Buton Ki IBAADAT Ki Mazammat Me NaaziL Ki Gayin Hen
Na Ke SAALiHEEN Ke Muta'alliq.
(Qurtubi V7 P#300)
(Tafsire Kabir V5 P#431)
"Kharji Itne Gumraah Hen Ke Jo Aayaten Kaafiron Ki Muzammat Me Naazil Huin, Musalmano Par Chispaan Karte Hen"
(Bukhari V#2 P#1024)



SHiRK
@35
Q. Kya Ummat e MUHAMMAD Kabi SHIRK Me Mubtila Hogi?
A.Mere Aaqa (alehisalatuwassalam) Farmatey Hen!
KHUDAA Ki Qasam Muje Tum Per Koi KHOFF Nhe K Mere Baad SHIRK Karoge
(Bukhari Jild #2 Page #975
Hadith #6102)
Iske Elawa Mazid 4 Maqaam Par Bukhari Me Hi Ye Hadees Paak Mojud Hy



SHiRK
@36
Sarkar Ek Din
Uhad Walon Ke Paas
(Mazar Pr) Nikly,
Namaz Parhi,
Phir Mimber Par Loutey
Aur Farmaya;
"Me Aagey Jane Wala Hun,
Aur Men Tum Per Gawah Hun,Men Apne Houz Ki Taraf Bhe Dekh Raha Hun,
Aur Zameen Ke Khazano Ki Kunjiyan Mujhe Di Gayi Hen,
Aur BaaKhuda Muje Iska Khouff Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karne Lago Gy,
Lekin Darr Hy
Tum Dunya Ke Ragbat Me Ek Dusrey Se Muqabla Karogy"
(Bukhari H#1261
-Janazey Ka Baab)
Agar Is Hadis Par Gour Kijye
To Is Sy
>Urs Manana
>Ikhtiyar e Mustafa
>Hazir Nazir
>Elm e Gaib
>Hayaat
Sab Sabit Hua
Aur Phir Ye Bhi Bata Dya Ke
Jo Ye Aqeeda Rakhy Wo
MUSHRiK Nahi


SHiRK
@37
Q.Gumraah Logo Ke Mut'alliq Sarkar Kya Farmatey Hen?
"Muje Tum Me Us Shakhs Ka Darr He Jo Qur'an Parhey Ga
Islam Ki Chaadar Orhe Hoga,
Phir Usey Allah Jidhar Chahe Ga Behka Dega
Wo Islam Ke Chadaar Se Saaf Nikal Jaye Ga
Usey Pas e Pusht Daal Dega Aur Apne Parosi Ko Shirk Se Mansoob Karega
(Un Par Shirk Aur Kufur Ke Fatwa Lagaye Ga)
Pucha Gaya;
"Shirk Ka Haq Daar Koun Hoga?"
Farmaya;
"Jo Tuhmat Lagaye Ga"
(Ibne Kaseer V2 P#665)



SHiRK
@38
#Sunni Zouq#
~Madad Kyun Na Maangey Walyon Ke Darbar Sy
~Ye Kaam Bahar Nahi Qudrat e Parwardigar Sy
~Badal Jaati Hey Taqdeer Us Banda e Momin Ki Bilal
~Jo Karta Hey Pyar ALLAH Ke Har Wali Har Yaar Sy
ALLAH Jaga Sey Paak Hey
Islye Yun Kehna Ke
"ALLAH Arsh e Azeem Par Hy"
Ye Kufar Hy.




SHiRK
@39
# MUSHRiK KOUN #
01
Wahabiyon Ke
Waheed Uz Zaman Likhty Hen;
"Hamarey Baaz Muta'akhireen Ahle Hadees Ne Ehkam e Shirk Me Buhat Tasaddad Se Kaam Lya Hey,
Daira e Islam Ko In Logon Ne Tang Kardya Hey.
Aur Amwaar e Makrooh Ko Shirk Qaraar De Rakha Hy
(Hidayatul Mehdi 26)





SHiRK
@40
# MUSHRiK KOUN #
02
Wahabiyon Ke Peshwa
Ismail Dehalvi;
"Anbiya Auliya Ke Lye
ALLAH Ka Dya Hua Elm,
Ikhtiyar,
Qudrat,
Taaqat Aur Tasarruf
Man'na Bhi Shirk Hy"
(Taqwiatul Imaan P#36)
JubKe Sarkar Alahissalatuwassalam
Ne Farmaya Ke Muje Meri Ummat Par Shirk Ka Khouf Nhe
(Bukhari 2/975 H#6102)



SHiRK
@41
# MUSHRiK KOUN #
03
Sanaullah Amratsari Ny
Mehfil e Meelad Aur UsKe Qayam Ko Bid'at Aur Shirk Qaraar De Kar InKe
Aamileen Ko Bid'ati Aur Mushrik Keh Dya
Ahle Hadees Ka Mazhab
P#34,35)
Shayad Inhey Bukhari Parhny Ka Ittefaq Nahi Hua Jo Aaqa Ki Naat Khuwani Se Bhari Pari Hy
(4/1537 , 5/2277)




SHiRK
@42
# MUSHRiK KOUN #
04
Sadiq Sialkoti Ne Huzoor Ko Noor Man'na Bhi Shirk Likha
(Anwarul Touheed 115)
Halankey
Surah Maida Me Sarkar Ko Noor Kaha Gaya
SHiRK
@43
# MUSHRiK KOUN #
05
Yahya Godhalwi Ne Qabar
Par Phool Paashi Ko Shirk Likha
(Aqeeda Muslim :156)
JubKe Qabar Par Phool Daalna Sarkar Sy Saabit Hy



SHiRK
@44
# MUSHRiK KOUN #
06
Abu Saeed Ashraf Wahabi;
"Hazir Nazir Ka Aqeeda Rakhny Wala Mushrik,
IsKi Iqtida Jaiz Nahi"
(Sharfia Br-Fatawa
Sanaiyya 1/364)



SHiRK
@45
# MUSHRiK KOUN #
07
Ab Aayiney Ka Dusra Rukh
Mulahiza Ho;
Abdullah Ropari Wahabi
Ne Ek Maqaam Par Makhlooq Ko Banda Parwar Likha
(Fatawa Ahle Hadees 1/80)
Jub Ke Najdiyon
Wahabiyon Ka Aqeeda To Ye Hey Ke Sirf ALLAH Hi
Banda Parwar (Paalne Wala) Hy, Waseela Koi Nahi
Haaye Ye AQAL Ke Andhey!



SHiRK
@46
# MUSHRiK KOUN #
08
Isi Ropari Wahabi Ne Ek Aur Jaga Likha;
"Tabarrukaat e Saliheen Sy Kisi Ko Inkar Nahi"
(Fatawa Ahle Hadees 1/347)
JabKe Ismail Dehalwi
Aur Sadiq Sialkoti Ke Nazdeek Ye Khalis Shirk Hua
(Taqwiyatul Imaan)
(Anwaarul Touheed)
Batao!
Dusry Bhai Ke Fatwey Se Hi Mushrik Hogaye





SHiRK
@47
# MUSHRiK KOUN #
09
Wahabiyon Najdyon Ke Sheikhul Islam Sanaullah Amratsari;
"Rasool e Khuda,
Khuda Ke Noor Hen"
(Fatawa Sanaiyya 2/792)
Isi Tarah
> Yahya Gondlawi Wahabi Ne
Bhi Noor Likha
(Aqeeda Ahle Hadees :288)
> Fazalur Rehman Wahabi Ne AapKo Noor e Khalq Likha
(Eid Meeladun Nabi :68)



SHiRK
@48
# MUSHRiK KOUN #
10
Sanaullah Amratsari Wahabi Najdi;
"Muqallideen Ko Shafa'at e Rasool Hogi"
(Fatawa Sanaiyya :1/186)
JubKe Wahabiyon Ke Nazdeek Taqleed Shirk Hy
(Tareekh e Muhmmad :44)
(Siraj Muhmmad :12)
(Zafarul Mubeen :47)
Dekhye Janab Khud Apne Hi Fatwey Me Phans Gaye



SHiRK
@49
Ismail Dehalwi Deobandi;
Tujh Siwa Maangy
Jo Ghairon Sy Madad,
Fil Haqeeqat Hy
Wohi Mushrik Ashad...!
(Tazkeer-ul-Akhwan P#343)
Qasim Nanotwi;
Madad Kar Aye Kareem Ahmadi Ke Tere Siwa,
Nahi Hy Qasim e Be'kas
Ka Koi Haami Kaar...!
(Qasaaid-e-Qasmi P#7)
ALLAH Ki La'nat Ho
In Munafiqon Par



SHiRK
@50
# AL-Mukhtasar #
Ahl e Sunnat Wal Jama'at Ka Aqeeda
Huzoor Noor,
Gaib Ke Khaber Deny Waley,Haazir O Naazir Hen
Aur Yahi Aqeeda Aap Ney
Wahabiyon Ka Bhi Mulahiza
Farmaya
Phir Bhi Wo Hamey Mushrik Kehtey Hen
Asal Me SHiRK Kya He
Ye Bhi Inki Kitabo Sey
Aapko Milega
Faisla Kijye...
Next >>



SHiRK
@51
Shirk #01:
Deoband Ka Peer
Ashraf Thanwi
Risala Al Imdad P#35 Par;
"La Ilaha IllallaH
Ashraf Ali Rasool AllaH"
Touba
Jabke QUR'AN;
"Men (Muhammad) Tum Sab Ki Taraf Us Allah Ka Rasool Hun" (Surah A'araaf Ayat#158)
Shirk #02:
"Qaasim Nanotvi Par
WAHI Ka Nuzool Hota Tha" (Hawala DeoBand BooK-Sawaneh Qasmi P#258)
Jabke QUR'AN;
"Aye Mehboob
Beshak Hum Ne AapKi Taraf Wahi Bheji
(Surah Nisa Ayat#163)
Afsos Hey In Aqal Ke Andho Par


SHiRK
@52
<FAiSLA>
ALLAH Ne Apni Ataa Sey Apni Sifaat Ka Mazhar Bando Ko Banaya He
Phir Ghous
Khuwaja
Gareeb Nawaz
Kehna Shirk Kesey..?
Agar Sab Shirk He To Nabi Ne Kyun Farmaya Ke Muje Tumse Shirk Ka Khouf Nhi?
(Bukhari)
Deen Buhat Aasan He
Magar Fitna e Wahabiya Qur'an Ka Galat Tarjuma
Kar Ke
Aur Kafiro K Baare Me Nazil Hone Wali Aayat
Muslmano Par Chispaan Kar Ke Logo Ko Gumraah Krne Ki Koshish Karta He
ALLAH Inke Shar Se Bachaye!







SHiRK
@53
Yaad Rahey!
ALLAH Ke Lye
Jama Ka Seega Ista'maal Karna
Masalan;
ALLAH Ta'ala "Farmatey Hen"
Kehna Munasib Nahi
Lekin Keh Dya To
Kufar o Shirk Nahi
KyunKe
QUR'AN My Bhi Jama Ka
Seega Aaya Hy
Jesey
(Para#14 Ayat#9)
Me Aaya
"Be Shak Hum Ne Utaara Hy
Ye QUR'AN...."
(Fatawa Razawiya Jadeed V14)



SHiRK
@54
#Mas'ala#
Allah Ta'ala Ke Baaz
Naam Aisy Hen
Jin Ke Sath "Abdul" Lagana Zaruri Hy
Bina "Abdul" Ke Pukaarna Haraam Hy Jesy
Kisi Ko Sirf
RAHMAN,
QAYYUM,
QUDDUS,
QADEER,
SAMAD
Keh Kar Pukarna.
Ye Naam Bilkul Aisy Hen
Jesy
Abdullah Ko Sirf ALLAH Kehna..
Magar
Baaz Naam "Abdul" Ka Lafz Lagaye Bagher Bhi Bandy Ke Lye Keh Sakty Hen
Jesy
Rasheed, Ali, Raheem Etc.
"SHiRK" Ke SmS Mukammal Huey
Jis Me Qur'an, Hadees
w Deegar Dalail Sy
Wazahat Ki Gayi


SHiRK
@55
"SHiRK" Ke Muta'lliq Hum Ne Jaana
Tamam Suwalat Iska Mafhum Na Samajhny Ki Waja Se Paida Hoty Hen
Mera Mashwara Ye Hey Ke
Sunniyon Ko Chahye Ke SMS Ya Net Par Jahil Extremists Ko Jawab De Kar Apna Waqt Zayaa Na Karen Bulke Kisi Ilm e Deen Ki Mehfil My Shirket Karen
Kyunke Hum HAQ Par Hen
Is Me Koi Shakk Nahi
Aur Hum Sarkar Ke Is Farman Par Amal Karenge
"Jaahil Ki Baat Par Khamoshi Bhi Ek Jawab Hy"
Aap Dekh Len
Hum Kabhi Kisi Qadyani Ya Shia Ko Aetraaz Karen To Wo Jawab Dene Ke Bajaye Apne Kaam Me Lage Rehty Hen
Halanke Wo Baatil Hen
Dar Asal Bad Mazhab
Hamen Uljhana Chahte Hen.




























Posted Image

Posted Image
Posted Image

Posted Image
Posted Image

Posted Image
Posted Image


Posted Image
Posted Image
نوٹ: شرک کے بارے میں تفصیل سے جاننے کے لیئے کتاب "شرک کی حقیقت" کا مطالعہ ضرور کیجیئے
نیز بدعت کے متعلق تفصیل جاننے کے "بدعت کا مطالعہ" ایک اچھی کتاب ہے۔

یہ کتابیں ڈاؤن لوڈ کرنے کے لیے ان کے نام پر کلک کیجیئے




++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++


Attached Images

  • Attached Image: a.jpg
  • Attached Image: Image1_bidat.jpg
  • Attached Image: Image2_bidat.jpg
  • Attached Image: Image3_bidat.jpg
  • Attached Image: Image4_bidat.jpg
  • Attached Image: Image5_bidat.jpg

aehl e bidat kon ?

Attached Images

  • Attached Image: 1.jpg
  • Attached Image: 2.jpg
  • Attached Image: 3.jpg



0 comments:

Post a Comment

rts

print

Popular Posts