HAAZIR O NAAZIR

on Wednesday, July 18, 2012

*HAZIR-O-NAZIR* (#1) 

AhL-E-Sunnat k Nazdik Hazir Nazir Hona 3 Tarha Hai 1>AAQA (AlyHiSALAM) 


Apne Roze Mubarak Mai Tashrif Farma Hain Or Tamam Kainat AAP k Samne 



Hazir Hai 2>AAP Jab Chahen Jahan Chahen Ja Sakte Hain 3>Ek Waqt Mai Kai 



jaga Ho Sakte Hain (Book_Saeed-Ul-HAQ P349), AAPKI Nooraniyat Or 



Roohaniyat Kainat k Zare Zare Mai Jalwa Afgan Hai (Tehqiq Hazir Nazir P18) 



<dalaail see="" next=""></dalaail>


*HAZIR-O-NAZIR* (#2) 

Dalail Se Qabal CHALENGE 2_Questions>Q1 Pury Quran Me Koi Aisi Ayat 


Bataen JisMe RAB K Liye Ye Arabi Alfaz Hazir-O-Nazir Bayan Howe Hon? Haan 



Shahid,Mojud, Muheet,Aleem, Baseer To Mil Jaegi, >Q2_Hmara Aqida He k 



ALLAH ki Sifat Zati, Qadeem, Wajib, Na Mitne Wali Or Gair Makhluq Jab K NABI 



Ki Sifat Ataee,Haadis, Mumkin,Faani Or Makhluq >Dono_Baton Ki Mojudgi Me 



Bataen Kese Kufr-O-Shirk Hoga?


*HAZIR-O-NAZIR* (#3) 

(Dalaail) 1>"NABI Momino Ki Jaan Se Ziada Qarib Hain" (Surah Ahzaab Ayat6) 


2>"To Kesi Hogi Jab Hum Har Ummat Se Ek Gawah Laen Or Aey Mehboob 



Tumko In Sab Par Gawah-O-Nigehban Bana Kar Laen" (Al Nisa Ayat41) *>Yaad 



Rahe.. .. Gawahi Hamesha Wohi Deta Hai Jo Zinda Or Har Halaat Se Ba-Khabar 



Ho, Is Ayat Se AAQA Ka Hayat Hona Sabit Hai




*HAZIR-O-NAZIR* (#4) 

*AL_QUR'AAN >Jaan Lo Ke Tum Sab Mai ALLAH k RASOOL Tashreef Farma 


Hain" (Surah Al-Hujraat Ayat7) >Ye Khitaab Tamam Sahaba-E-Kiraam k Liye 



Hai k Tum Mai ALLAH Ke RASOOL Tashreef Farma Hain Or Sahaba-E-Kiraam 



Mukhtalif Jaghon Pe Rehte the Or Mere AAQA QUR'AAN Ki Dalil Se Sab k Sath 



Tashreef Farma Hote the.



*HAZIR-O-NAZIR* (#5) 

>RASOOL'ALLAH (AlyHiSALAM) Ke Baarey Mai ALLAH Ne Farmaya "Or Humne 


Tumko Na Bheja Magar Rehmat Saarey Jahano Ke Liye" (Surah Hajj Ayat107) 



>SARKAR (AlyHiSALAM) ALLAH ki Rehmat Hain Or Ye Rehmat Har Jaga Mojood 



Hai Dekhiye QUR'AAN Mai ALLAH Farmata Hai "Or Meri Rehmat Har Cheez Ko 



Ghairy Hue Hai" (Surah Araaf Ayat156)



 *HAZIR-O-NAZIR* (#6) 

*AL_QUR'AAN >"Beshak Tumhare Paas Tashrif Laye Tum Mai Se Wo RASOOL 


Jin Par Tumhara Mashaqqat Mai Parna Giran Hai" (Surha Touba Ayat128) >Ye 



Khitaab Qayamat Tak K Musalmano Se Hai, Sabit Hua, >HUZOOR Qayamat Tak 



K Har Musalman K Paas Hain >Har Musalman K Har Fail Se Ba-Khabar Hain 



>"Mashaqqat Mai Parna Giraan Hai" Ya'ni Tumhari Rahat-O-Taklif Ki Har Waqt 



HUZOOR Ko Khabar Hai.


*HAZIR-O-NAZIR* (#7) 

>"A Gheb Ki Khabren Batane Wale(Nabi) Beshak Humne APKO Bheja HAZIR 


NAZIR (Shahid) Or KhushKhabri Deta Or Dar Sunata Or ALLAH Ki Traf Us K 



Hukum Se Bulata Or CHAMKA Dene WALA AFTAB" (Ahzab.46) >Yahan HUZOOR 



Ko SIRAJ-O-MUNIR (Chamka Dene Wala SOORAJ) Kaha Gaya Yani Jis Trah 



Sooraj Apne NOOR Se Pury Aalam Ko Roshan Kye Hue He Isi Trah HUZOOR B 



Apne NOOR Se Tamam Jahano Ko Munawar Kye Hue Hain.


*HAZIR-O-NAZIR* (#8) 

>Or Jb Wo Apni Janon Pr Zulm Kren To Ay Mehbub Tmhare Huzur Hazir Hon Phr 


ALLAH Se Muafi Chahen Or RASOOL Inki Shafaat Frmaen To Zarur ALLAH Ko 



Bohat Toba QubuL Krne Wala Meharban Paen" (Nisa.64) >Murad Ye K 



Gunahgaron Ki Bakhshish Ki SabeeL K Lye HUZUR To Tumhare Pas Mojud Hen, 



Tm Inki Traf Mutawajoh Ho K Shafaat Mango To HUZUR Karimana Shafaat 



Frmate Hen, Malum Hua K HUZUR Hr Jaga Hazir Hen




*HAZIR-O-NAZIR* (#9) 

*AL_QUR'AAN 1>"Or ALLAH Ka Kaam Nhi K Azaab Kare Jab Tak Aey Mehboob 


Tum In Mai Tashrif Farma Ho" (Anfal Ayat33) >Murad Ye Ke HUZOOR Mojud 



Hain Is Lye Qayamat Tak Azaab-E-Aam Na Aayega, 2>"Jaan Lo Ke Tum Sab Mai 



RASOOL'ALLAH Tashrif Farma Hain" (Hujraat Ayat7) >In Dono Ayat Se HUZOOR 



Ka Hayat Hona Sabit Hai


*HAZIR-O-NAZIR* (#10) 1>

"Aey Mehboob Tumne Na Dekha K Tumhare RABB Ne In Hathi Walon Ka Kya 


Haal Kya" (Feel Ayat1) 2>"Kya Tumne Na Dekha K Tumhare RABB Ne Qom-E-



Aad K Sath Kya Kya" (Fajar Ayat6) >In Ayaat Mai NOOR-E-NUBUWAT Se 



Guzishta Dorr K Kufaar Or Un Pe Aaney Wale Azabat K Waqiyaat Dekhna Murad 



Hai, Khubsurat Nuqta Ye Hai K Jab HUZOOR Us Waqt K Muamlat Dekh Sakte 



Hain To Is Waqt Bhi Dekh Sakte Hain.


 *HAZIR-O-NAZIR* (#11) 

*AL_HADEES >Nakirain Maeyit Se Puchhte Hain Tum Is Rajul (Admi) (HUZOOR 


KAREEM) K Baary Mai Kya Kehte the? (Muslim J4 H2870) >Yaad Rahe NABI 



Hone K Lye Jism Ki Zarurat Nhi, Jab K Admi Hone K Lye Jism Zaruri, Dekho 



AAQA Us Waqt Bhi NABI the Jab AADAM Mitti Or Paani K Beech the to Malum 



Hua NABI Jism K Sath Ek Hi Waqt Mai Beshumar Qabur Mai HAZIR-O-NAZIR, Ab 



Munkir Bager Jism K Admi Dikhaen


*HAZIR-O-NAZIR (#12) 

*AL_HADEES >"HUZOOR Ne Zaid, Jaffar Or Ibn-E-Rawaha Ki Mout Se Qabl Inki 


Mout Ki Khabar Logon Ko De Kar Farmaya Ab Jhanda ALLAH Ki Talwar KHALID 



BIN WALEED Ne Lya Ta_Aan K ALLAH Ne Inko Fatah De Di" (Bukhari J2 P611) 



>Mota Jo Madina Se Bohat Door Hai Wahan K Halaat AAQA Madine Se Dekhte 



Hain Goya AAP Medaan-E-Jang Mai Mojood the Is Hadis Se HUZOOR Ka Ilm-E-



Gaib Or HAZIR NAZIR Hona Sabit Hai.

*HAZIR-O-NAZIR* (#13) 

*AL_HADEES >Ek Shab HUZOOR Ghabraye Hue Bedaar Hue, Farmaya; 


"SUBHAN'ALLAH Is Raat Mai Kis Qadar Khazane Or Kis Qadar Fitne Utarey Gaye 



Hain" (Miskhat P109) >Malum Hua AAQA Ainda Hone Wale Fitnon Ko Bachashm 



Mulahiza Farma Rahe Hain Or Tamam Halaat Se Ba-Khabar Hain,




*HAZIR-O-NAZIR* (#14) 

*AL_HADEES 1>"HUZOOR Ne Ek Pahari Par Khare Hokar Sahaba Se Pucha, K 

Mai Jo Kuch Dekh Raha Hon Kya Tum B Dekhte Ho? Arz Ki; Nhi, Farmaya; Mai 

Tumhare Gharon Mai Fitne Girte Dekhta Hon" (Mishkat P462), 2>"Tumhare 

Milne Ki Jaga Hoz-E-Kosar Hai Mai Isko Isi Jaga Se Dekh Raha Hon" (Mishkat 

P547) >In RIWAYAAT Se HUZOOR Ka QIYAMAT K MUAMLAAT Dekhna Bhi Sabit 

Hua, Jo In AHAADIS Ka Inkaar Kary Wo??

*HAZIR-O-NAZIR* (#15) 

*AL_HADEES >"ALLAH Ne Mere Saamne Saari Dunya Ko Paish Farma Diya, Pas 

Mai Is Dunya Ko Or Jo Kuch Is Mai Qayamat Tak Hone Wala Hai Is Tarah Wazeh 

Dekh Raha Hon Jese Apne Hath Ki Hatheli Ko Dekhta Hon" (Khasaais-Ul-Kubra 

J2 P185) >Is HADEES K Ek Ek Lafz Pe Ghor Karen Malum Hua MUSTAFA 

KAREEM Guzishta, Ayenda Or Ta_Qayamat Hone Wale Halaat Ko Mulahiza 

Farma Rahe Hain.



*HAZIR-O-NAZIR* (#16) 

*AL_HADEES 1>"ALLAH Ne Apna Dast-E-Qudrat Mere Seeney Par Rakha Jiski 

Thandak Apne Seeney Mai Mehsoos Ki, Pas Maine Un Tamam Cheezon Ko Jaan 

Lya Jo Zameen-O-Asman Mai Hain" (Tirmizi H3246) 2>"ALLAH Ne Mere Lye 

Zameen Samet di Pas Maine Zameen K Mashriq-O-Magrib Ko Dekh Lya (Muslim 

H2889) >In AHAADIS Se Bhi HUZOOR Ka Dunya Mai HAZIR NAZIR Hona Sabit 

Hua, ALLAH Munkireen Ko Hidayat De. Aameen 




*HAZIR-O-NAZIR* (#17 >

"Hazrat Abu Bakar (Radi-ALLAHO-Anhu) Apne Ghar Ka Tamam MaaL HUZOOR 

(AlyHiSALAM) Ki Khidmat Mai Le Aye, To HUZOOR Ne Farmaya K Abu Bakar tu 

Ne Apne Aehel K Waste Kia Chora" Abu Bakar Ne Kaha K "Ghar K Waste ALLAH 

Or Uske RASOOL Ko Chhor Aya Hon" (Abu Dawood J1 P243) >Siddiq-E-Akbar 

Bhi RASOOL'ALLAH Ko HAZIR-O-NAZIR Jante the Or HUZOOR Ne Bhi Aqida Sahi 

Hone Ki Bina Pe Aisa Kehne Se Na Roka.



*HAZIR-O-NAZIR* (#18) >

Hazrat Salma Farmati Hain, "Mai Um-E-Salma Ki Khidmat Mai Hazir Hoi Wo Ro 

Rahi thi, Maine Pucha AAP Kyun Ro Rahi Hain? Unho Ne Farmaya K "HUZOOR 

Ko Khuwab Mai Dekha APKI Daarhi Or Sir Anwar Gard-Alud the, Maine Arz Ki 

HUZOOR Kya Baat Hai? AAP NE Farmaya, "Abhi Hussain Ki Shahadat Mai Sharik 

Hua Hon" (Tirmizi J2 P731) >Is RIWAYAT Se Baad Az'Wafaat Sahaabiyah Ka 

Aqida Bhi Maloom Ho Gaya.




 *HAZIR-O-NAZIR* (#19) >

"Hazrat Ayesha Farmati Hain; "Hazrat Umar Ki Tadfin Se Qabl Bager Chadar 

Orhe HUZOOR K Roze Par Chali Jaya Karti Is Khayal Se K Mere Walid (Hazrat 

Abu Bakar) Or Shohar (NABI PAAK) Hi to Yahan Hain Lekin Hazrat Umar Ki 

Tadfin K Baad Unki Haya Ki Waja Se Apne Kapron Ko Khub Achi Tarah Lapet 

Kar Bager Parde K Kabhi Na Jati" (Mustadrak Haakim) >Is Riwayat Se Amma 

Ayesha Ka Bhi Aqida Sabit Hua.




*HAZIR-O-NAZIR* (#20) 

*AL_HADEES >Hazrat Abu Darda Riwayat Karte Hain K HUZOOR Ne Farmaya 

"ALLAH Ne Zamin Par Ambiya-E-Kiram K Jismo Ko Khana Haraam Farma Diya 

Lihaza ALLAH K NABI Zinda Hain Rizq Diye Jate Hain" (Ibn-E-Maja, Mishkat 

P121) >Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhadis Dhelvi Is Hadees K Tehet Farmate 

Hain K "ALLAH K NABI Dunyavi Zindagi Ki Haqiqat K Sath Zinda Hain" (Ash'at-

tul-Ma'aat P576)




*HAZIR-O-NAZIR* (#21) >

AQIDA HAZIR NAZIR Quran-O-Hadees K Baad Ab Fuqa'ha Or Ulama-E-Ummat K 

Aqwal Se >Qazi Ayaz (AlyHiREHMA) Farmate Hain, "Jab Ghar Mai Koi Na Ho to 

Kaho "Aey NABI AAP Par Salam Or ALLAH Ki Rehmat Ho" (Book Shifa Shareef 

J2 P43) >Iski Sharah Mai 400 SaaL Pehle K Aalim Mulla Ali Qaari Farmate Hain, 

"Iski Waja Ye Hai K NABI-E-PAAK Ki Rooh Musalmano k Gharon Mai HAZIR Hai" 

(Sharah Shifa J3 P464) #1 month ago via SMS





*HAZIR-O-NAZIR* (#22) >



 *HAZIR-O-NAZIR* (#23) >Imam Qustalani (AlyHiREHMA) Farmate Hain, 

"Hamare Ulama Ne Farmaya k HUZOOR PAK Ki Zindagi Or Wafat Mai Koi Farq 

Nhi AAP Apni Ummat Ko Dekhte Hain Or In k Halaat Or Dil k Irado Or Baaton Ko 

Janty Hain Ye AAP Par Bilkul Zaahir Hai" (Al-Mavahib-Ul-Laduniya J4 P580)




 *HAZIR-O-NAZIR* (#24) >

Imam Jalal-Ud-Din Siyuti (AlyHiREHMA) <wisaal hijri=""> Farmate Hain, 

"HUZOOR Ka 1>Ummat K Amaal Pe Nigah Rakhna 2>Unke Liye Astaghfar 

Karna 3>Balao Ko Dafa Karna 4>Zameen K Atraf Mai Jaa Kar Us Mai Barkat 

Dena 5>Or Apni Ummat Ke Nek Logo K Jannazo Mai Jana Apka Mashghala Hai" 

(Al-Haavi Lil-Fatawa J2 P184)</wisaal>





*HAZIR-O-NAZIR* (#25) 1>

Shaikh Abdul Haq Muhadis Dhelvi (AlyHiREHMA) Farmate Hain, "Ambiya (Aly-

Him-Us-SALAAT-O-WASALAAM) Dunyavi Haqiqi Zindagi Se Zinda Or Baaqi, Or 

Amal Dar Amad Farmane Wale Hain Is Mai Koi Kalaam Nhi" (Sharah Fatooh-Ul-

Gaib P333), 2>Shaikh Shahab Soharwardi Farmate Hain, "Jese Insan ALLAH Ko 

Har Haal (Zahiri/Batini) Mai Waqif Jane, RASOOL Ko Bhi HAZIR-O-NAZIR 

Jaane" (Awarif-Ul-Ma'arif P125)


*HAZIR-O-NAZIR* (#26) 1>

Shah Wali-Ullah Muhaddis Dehalwi (Har Aalim Banne Wale Talib-E-Ilm Ki Sanad 

Mai Inka Naam Hai) Farmate Hain, "Is Mai Koi Shak Nhi K Tamam Fiza 

RASOOL'ALLAH Ki Rooh-E-Anwar Se Bhari Hoi Hai Or AAP (AlyHiSALAM) Ki 

Rooh-E-Pak Is Fiza Mai Taiz Hawa Ki Tarah Moujen Maar Rahi Hai" (Fuyooz-Ul-

Harmain P28)



*HAZIR-O-NAZIR* (#27) >

Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi (AlyHiREHMA) Farmate Hain, "Agr Kaha 

Jaye K ALLAH Ne HUZOOR K Jism-E-Athar Ko Aisi Haalat-O-Qudrat Ata Farmai 

Hai K Jis Makaan Mai Chahen Tashrif Laa Sakte Hain Bi Ayenihi Isi Jism K Sath 

Ya Jism-E-Misaali K Sath, Asman Par Ya Khuwah Qabar Main, To Ye Bilkul 

Durust Hai, Har Halat Mai Qabar Se Khas Nisbat Rehti Hai" (Madrij-Un-Nubuwah 

J2 P50)


*HAZIR-O-NAZIR* (#28) >

Imam Ghazali (AlyHiREHMA) <wisaal hijri=""> Farmate Hain; "HUZOOR Ko 

Sahaba Ki Roohon K Sath Aalam-E-Dunya Mai Ghoomney Ka Ikhtiyaar Hasil Hai, 

Aksar Oliya Ne HUZOOR (AlyHiSALAM) Ko Dekha Hai" (Rooh-Ul-Bayan J10 

P114)</wisaal>





*HAZIR-O-NAZIR* (#29) >

Imam Jalal-Ud-Din Siyuti <wisaal hijri=""> Farmate Hain, " Agr Log Ye Aqida 

Rakhen K HUZOOR (AlyHiSALAM) Ki Rooh Or Apki MisaaL Molud Shareef 

Parhne, Khatam-E-Ramzan Or Naat Khuwani K Waqt Ati Hai to Jaiz Hai" 

(Sharah Sudur) >Ulama Or Saaliheen K Aqaid Se Pata Chala K HUZOOR Ki Nigah 

Har Waqt Aalam K Zarre Zarre Par Hai Or AAP HAZIR-O-NAZIR Hain. >>Ab 

Mukhalifin Ki Apni Kitabon Se, Next</wisaal>



*HAZIR-O-NAZIR* (#30) >

AhL-E-Hadees Molvi Abdullah Rupari Ne Pur Zor Dalail Se Sabit Kya K "Jab 

Qabar Mai Teesra SawaL Hoga Us Mai Lafz "Haaza" Hai, Is Se Sabit Hua K 

RASOOL'ALLAH (AlyHiSALAM) Qabar Mai HAZIR Hote Hain (Fatawa Ahl-E-Hadis 

J2 P138-145) >Ya'ni Jitne Bhi Log Inteqaal Karte Hain HUZOOR Un Sab Ki 

Qabro Mai HAZIR Hote Hain.



*HAZIR-O-NAZIR* (#31) >

Nawab Siddiq Hasan Bhopali Wahabi Likhe Hain, "Chahiye K Namaz Mai NABI 

Ko HAZIR NAZIR Jaan Kar Salaam Kare (Maslak-Ul-Khaatam-Sharah Balugul 

Maram J1 P459)



HAZIR-O-NAZIR* (#32) >

Molvi Ismail Dhelvi Deobani Likhte Hain "Jab Insan Fanaa-Fil-Laah Hojata Hai 

to Khudai Taqat Se Dekhta, Sunta Or Bolta Hai, Ya'ni Aalam Ki Har Chiz Ko 

Dekhta Hai Or Door-O-Nazdik Ki Chizon Ko Pakarta Hai Yehi HAZIR NAZIR K 

Ma'na Hain, Jab Maamuli Insan Fanaa-Fil-Laah Hosakta Hai to Ba-Darja Uola 

HUZOOR (AlyHiSALAM) HAZIR-O-NAZIR Hue" (Sirat-E-Mustaqim P13) >>Kuch 

Aetraaz Ke Jawab See Next.


HAZIR-O-NAZIR* (#33) 

*Aetraaz>Jab HUZOOR Hazir Nazir Hain To Madine Kyun Jate Ho Or NABI Ne 

Hijrat Kyun Ki? *Jawab>AAQA Rohani tor Pe Hazir Hain Or Madine Mai Jismani 

tor par, Or Jahan Chahen Tashrif Le Jate Hain, Or Hijrat Bhi Jismani tor par thi, 

Ye Aetraaz Goya Zaat-E-Ilaahi Par Hai K Jab ALLAH Har Jaga Hai to KA'ABA 

Jane Ki Kya Zarurat Or NABI Ka Mairaaj Pe Arsh Jane Ka Kya Faida





HAZIR-O-NAZIR* (#34) 

*Aetraaz>HUZOOR Hazir Hain to Namaz Ki Imamat Q Nhi Karte Or Har Jaga 

AAP Imam Hone Chahiyen? *JAWAB>Kis Ayat Ya Hadis Mai Hai K HUZOOR Ki 

Mojudgi Mai Koi Or Namaz Na Parhaye, Siddiq-E-Akbar Ne APKI Mojudgi Mai 17 

Namazen Parhai Or Imam Ka Nazar Aana Zaruri Hai AAQA Humein Dekhte Hain 

Magar Hum APKO Nhi Dekh Sakte, Or NABI Par Ab Namaz Farz Nhi Farz Wala 

Nafil Wale K Piche Nhi Parh Sakta.



 HAZIR-O-NAZIR* (#35) 

*Aetraaz>Agr HUZOOR Hazir Bhi Hain Or NOOR Bhi to Chahiye K Raat Mai 

Kabhi Andhera Na Ho Magar Har Jaga Andhera Hota Hai Lehaza Ya to HUZOOR 

NOOR Nhi Ya NOOR Hain to HAZIR Nhi. *JAWAB>QURAN NOOR Hai Or Har Ghar 

Mai Bhi, Farishte NOOR Hain Or Har Insan K Sath Bhi, ALLAH NOOR Hai Or Har 

Ek K Sath Bhi, Phr Bhi Raat Ko Andhera Hota Hai Lehaza ya to Farishte, Quran, 

Khuda NOOR Nhi Ya HAZIR Nhi??





*HAZIR-O-NAZIR* (#LAST) 

*Aetraaz>AAQA Ne Farmaya Door Se Parha Jane Wala Durud Mujh tak 

Pohnchaya Jata Hai, Agar AAP Hazir Hote to Durud Pohnchaya Kyun Jata? 

*Jawab>Hadis Mai Ye Kahan Likha Hai K Door Walon Ko Mai Sunta Hi Nhi, 

Dekho Farishte Bhi to ALLAH Ki Bargaah Mai A'maal Le Jate Hain Kya ALLAH K 

Ilm Par Bhi Aetraaz Hai? 


>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
                                                          HAAZIR O NAAZIR
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Wahabi and sunni discussion on "Hazir o Nazir " :

wahabi : Allah ke siwa koi hazir nazir nahi.


Sunni---------- --------ye bata is waqt kya shaitan tuje dekh 

aur sun raha hai


wahabi--------- -----muskurakar kehta hai haa
                                                                                   


sunni---------- -agar tu kamre main band ho jaye tabhi wo 



dekhegaaur sunega?



wahabi--------- -----haa

sunni---------- --------agar tu hawa main chala jaye 

aeroplane main tabhi?




wahabi--------- -----haa

sunni---------- --------agar tu zameen ke 100feet neeche 


chalajaye to


wahabi--------- -----haa


sunni---------- -------- Iblees pe tera Imaan hai aur Allah ke 


Nabi Sallallahu Alyhi Wa Sallam par nahi,


Dab tera dada dekh sun sakta hai har jaga to Allah ke Nabi 


kyun nahi ? (Sallallahu Alyhi Wa Sallam)




HAAZIR O NAAZIR IN QURAN E PAAK

=============================
 Aayat#1:

Tarjuma:

" Ae GAIB ki khabren Bataney waaley beshak hum ne tum 

ko bheja Haazir O Naazir aur khushkhabri deta aur Dar 


sunata, aur ALLAH ki taraf us k hukum se bulaata aur 


chamka deney waala Aaftaab"..


(Parah: 22, Surah Al Ahzaab, Aayat: 46)



=============== ===============






Aayat# 2:

Tarjuma:


Aur baat yun hi hai k hum ne tum ko sab Ummatiyon main 

afzal kiya, k tum logon par Gawah ho, aur yeh RASOOL 


tumharey Nigehbaan aur Gawah"..

(Parah#2, Surah Baqarah, Aayat# 143)


=============== ===============


Aayat# 3:

To kesi hogi jab hum har Ummat se ek Gawah laaen aur Ae 

Mehboob tum ko un sab par Gawah O Nigehbaan bana kar 

laaen"..
(
Parah#5, Surah#4, Aayat#41)




=============== ===============


Aayat#4:
" Beshak tumharey pass tashreef lae, tum main se woh 

RASOOL jin par tumhara Mushqat parna Giraa'n hai"..
(

Parah#11, Surah#9, Aayat#128)


=============== ===============
Aayat#5:


Qur'an:


“Aur Agar Jab vo Apni Jano par zulm kare, To Ae Mehboob 

tumhare Huzoor hazir hon aur phir Allah se maafi chahein 

Aur Rasool unki shafa’at farmae to Zarur Allah ko bohot 

Tauba kabul karne wala Meherbaan Paaein”


[Surah Nisa Verse.64]


tabhi to Ala hazrat farmate hai:


wahi rab hai jisne tujko hamatan karam banaya,

hume bhik mangne ko tera aasra bataya.

=============== ===============

0 comments:

Post a Comment

rts

print

Popular Posts