Aksar wahbi Deobandi ko NABI Sallallahualaihiwasallam me aib dhundte dekha hai aur woh kehte hai ki NABI ko yeh ilm nahi woh ilm nahi aisa nahi maalum waisa nahi maalum aur jab hum AHLE SUNNAT JAMAAT inka muh tod Jawaab dete hai toh yeh kehte hai ki kya NABI Sallallahualaihiwasallam ko Qayamat kay aane ka ilm nahi maalum.
Aakhir kisi bhi tarah yeh apne NABI ko lailm saabit karne per tule rehte hai.
Is Article me hum Insha ALLAH un Dalilo’n ko padhege jisse saabit hoga ki ALLAH taala ne NABI Sallallahualaihiwasallam ko Qayamat ka ilm bhi ataa kiya hai aur waqt ko chupane ka hukum bhi diya hai.
Ilm e Ghaib per Total 21 aayat Quran shareef se aur Total 80 Hadees hai,Jo yeh saabit karti hai ki ALLAH TAALA ne NABI Sallallahualaihiwasallam ko Ilm e Ghaib ataa kiya..Makaan wa Mayakoon ka ilm ataa kiya.
Hum Quran ki chand aayat aur uski Tafseer Dekhte hai.