karaamate ghaus e aazam radiyallahu anhu

on Sunday, November 4, 2012





   WILADAT KE WAQT KI KARAMAAT
Aap Ke Walid e Maajid Hazrat Abu Saleh Musa Jangi Dost Rehmatullahi Ta’ala Alaihi Ko Huzoor Nabi Karim Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ki Ziyarat Huyi Aur Aap Ne Farmaya Aye Mere Bete Abu Saleh Tujhe Allah Ta’ala Ne Wo Farzand Diya Hai Jo Mera Beta Aur Mehboob Aur Khuda Ka Bhi Mehboob Hai Aur Us Ka Martaba Auliya Mein Aisa Hoga Jaisa Mera Martaba Ambiya Mein Hai.
Tamam Ambiya Wa Rasul Ne Aap Ke Walid-e-Majid Ko Khwab Mein Basharat Di Ki Siwaye Sahaba Aur Aimma e Kiram Ke Tamam Auliya Awwalin Wa Aakhirin Aap Ke Farzand Ke Farma Bardaar Honge Aur Us Ki Ita’at Un Ke Darjaat Ki Bulandi Ka Baais Hogi.
Viladat Ki Shab Baghdad Mein Sab Ladke Paida Huwe Jin Ki Tadaad Gyara Sau (1100) Thi Aur Wo Sab Auliya e Kamileen Huwe Hain.
Aap Ne Tamaam Ramzan Saher Se Lekar Iftar Tak Walida Majida Ka Doodh Nahi Piya.
Huzoor Nabi Karim Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Me’araj Ki Raat Jo Aap Ki Gardan e Mubarak Par Qadam Rakha Tha Us Ka Nishan Aap Ki Gardan Mubarak Par Maujood Tha.
Aap Ki Wiladat Ke Waqt Aap Ki Walida Majida Ki Umar Saath(60) Saal Ki Thi.Is Umar Mein Aap Ki Paidaish Bhi Ek Karamat Hai.


rts

print

Popular Posts