AISE AAQAON KA GADA HOON RAZA
BOLBALE MERI SARKARON KE HEIN
BOLBALE MERI SARKARON KE HEIN
Hum Maslak-e-Aala Hazrat kio kahte hai.....? sab se pahle Aap ye baat Achchi tarh samjh lijiye k Maslak-e-Aala Hazrat se murad (Ma'aaz Allah) koi naya Maslak nahi hai.Balke jis Maslak par Aaj Maslak-e-Aala Hazrat ka jis par Ittelaq ho raha hai ye wohi Maslak hai jis par Sahab'h, Tabain, Tabe Tabain, Saliheen aur Ulmay-e-Millat Qayam the.
Dar Asal is ki wajah-e-Tasmeeya'h ye hai k Taqreeban 2 Sadi pahle Hindustan ki sarzameen par kai naye firqo'n ne janm liya aur in Firqo'n k Alam bardaro'n ne Ahle Sunnat wa Jamat k Aqaid-o-Ma'amulat ko Shirk-o-Bibat qarar dene ki sharm naak rawish Ikhteyar ki.Khususan Molvi Ismail Dahlvi ne Wahabi Maslak ki Isha'at k liye jo Kitab Taqviyatul Iman k Naam se likhi,is me Ilm-e-Gaib-e-Mustafa (sallallaho alaihi wa sallam) Hazir-o-Nazir,Shafa'at,Ista'anat,Niday-e-Ya Rasool Allah (sallallaho alaihi wa sallam), Hayatun Nabi (sallallaho alaihi wa sallam),Ikhteyaratun Nabi (sallallaho alaihi wa sallam) Etc,tamam Aqaid ko Kufar-o-Shirk qarar de diya.Jab k ye sare Aqaid Roz-e-Aowal se Quran-o-Sunnat se Sabit hai.isi tarh Milad,Qayam,Salat-o-Salam,Isal-e-Sawab,Urs ye sab Ma'amulat jo Sadye'n se Ahle Sunnat wa Jamat me Raij hai aur Ulmay-e-Ummat ne Inhe'n Bais-e-Sawab Qarar diya hai Laikin Naye Firqo'n k Alam Bardaro'n ne in aqaid-o-Mamulat ko Shirk-o-Bidat Qarar dete hoye Apni sari Tawanai Inhe mitane par sarf ki.Laikin isi zamane me Ulmay-e-AhleSunnat ne apni Qalam se Un Aqaid-o-Mamulat ka Tahaffuz farmaya aur tahrir-o-Taqrir aur Munazro'n k Zariay hai Aitaraaz ka danda Shikan Jawab diya.